اردو हिंदी
Tilism-KHana-e-dil mein hai chaar-su raushan | Shaahi Shayari
tilism-KHana-e-dil mein hai chaar-su raushan

Ghazal

Tilism-KHana-e-dil mein hai chaar-su raushan

Sultan Akhtar

;

tilism-KHana-e-dil mein hai chaar-su raushan
meri nigah ke zulmat-kade mein tu raushan

bahut dinon pe hui hai rag-e-gulu raushan
sinan ki nok pe ho jae phir lahu raushan

tamam raat main zulmat-e-intizar mein tha
tamam raat tha mahtab-e-arzu raushan

main apne aap se hi jang karta rahta hun
ki mujh pe hota nahin ab mera udu raushan

ajib shor munawwar dil o dimagh mein hai
mere lahu mein hai lekin sada-e-hu raushan

safar safar mere qadmon se jagmagaya hua
taraf taraf hai meri KHak-e-justuju raushan

bahaar aai to aankhon mein KHak uDne lagi
na koi phul khila aur na rang o bu raushan

main tirgi ke samundar mein Dub jata hun
wo jab bhi hota hai ab mere ru-ba-ru raushan

ye aur baat ki 'aKHtar' haweliyan na rahin
khanDar mein kam to nahin apni aabru raushan