tir-e-nazar ne aap ki ghael kiya mujhe
phir shauq-e-intizar ne pagal kiya mujhe
aisi chali hawa-e-gulistan meri taraf
chhu kar bu-e-gulab ne sandal kiya mujhe
beTon ne mere nam ki dastar pahan li
aur beTiyon ne surat-e-anchal kiya mujhe
baDhne lagi hai dil ki tamanna-e-ashiqi
yun aa ke teri yaad ne bekal kiya mujhe
hosh-o-hawas khone laga hun firaq mein
tanhaiyon ne aisa muqaffal kiya mujhe
pahle to aazmaya ata-e-bahisht se
phir bhej kar jahan mein afzal kiya mujhe
har shaKHs mo'tarif ki muhibb-e-watan hun main
phir adliya ne kyun sar-e-maqtal kiya mujhe
ibn-e-chaman hai teri wafaon pe jaan-nisar
apna bana ke tu ne mukammal kiya mujhe
Ghazal
Tir-e-nazar ne aap ki ghael kiya mujhe
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman