Thokaron ki shai parastish ki nazar tak le gae
hum tere kuche ke ek patthar ko ghar tak le gae
chhoD kar jate rahe sab karwan wale magar
raste hi ham-safar nikle jo ghar tak le gae
apne hi maqtul Thahre apne hi qatil bane
apne hi hathon se hum kashti bhanwar tak le gae
sham hi tak tha sukut-e-qabl-e-tufan phir na puchh
kaise kaise hum charagh-e-shab sahar tak le gae
TuTta kab tak na aaKHir aise tair ka ghurur
noch kar sayyaad jis ke baal-o-par tak le gae

Ghazal
Thokaron ki shai parastish ki nazar tak le gae
Raunaq Raza