thoDi si shohrat bhi mili hai thoDi si badnami bhi
meri sirat mein ai 'qaisar' KHubi bhi hai KHami bhi
kitne aashiq sambhal gae hain mera fasana sun sun kar
mere haq mein jaisi bhi ho kaam ki hai nakaami bhi
mahfil mahfil zikr hamara soch samajh ke kar waiz
apne muKHalif bhi hain kitne aur hain kitne hami bhi
aisa to mumkin hi nahin hai chand mein koi dagh na ho
jis mein hogi kuchh bhi KHubi us mein hogi KHami bhi
mera mazhab ishq ka mazhab jis mein koi tafriq nahin
mere halqe mein aate hain 'tulsi' bhi aur 'jami' bhi
yun to sukun ke lamhe 'qaisar' hote hain anmol bahut
lekin apne kaam aati hai dil ki be-arami bhi
Ghazal
ThoDi si shohrat bhi mili hai thoDi si badnami bhi
Qaisar Shameem