اردو हिंदी
ThoDi der ko hum jo kahin ruk jate to ye mumkin tha | Shaahi Shayari
thoDi der ko hum jo kahin ruk jate to ye mumkin tha

Ghazal

ThoDi der ko hum jo kahin ruk jate to ye mumkin tha

Manmohan Talkh

;

thoDi der ko hum jo kahin ruk jate to ye mumkin tha
mil hi jata wo jo apne ilaqe ka ek sakin tha

kuchh bhi yaad nahin ab paDta kab pardes ko nikle the
shayad sham lagi thi Dhalne ya shayad chaDhta din tha

hum ne jatan to lakh kiye the waqt ne aisi karwaT li
apni jaDon se hum juD pate ek yahi na-mumkin tha

wo ek saneha hum na jise kah pae ab tak guzra jab
kaise kaise dil se chaha tha ki na sach ho lekin tha

'talKH' nahin tha sahl ye lahja jiwan bhar ki tapasya hai
har jazbe ke hum zamin the dard hamara zamin tha