thoDa sa aks chand ke paikar mein Dal de
tu aa ke jaan raat ke manzar mein Dal de
jis din meri jabin kisi dahliz par jhuke
us din KHuda shigaf mere sar mein Dal de
allah tere sath hai mallah ko na dekh
ye TuTi phuTi naw samundar mein Dal de
aa tere mal o zar ko main taqdis baKHsh dun
la apna mal o zar meri Thokar mein Dal de
bhag aise rahnuma se jo lagta hai KHizr sa
jaane ye kis jagah tujhe chakkar mein Dal de
is se tere makan ka manzar hai bad-numa
chingari mere phus ke chhappar mein Dal de
main ne panah di tujhe barish ki raat mein
tu jate jate aag mere ghar mein Dal de
ai 'kaif' jagte tujhe pichhla pahar hua
ab lash jaise jism ko bistar mein Dal de
Ghazal
ThoDa sa aks chand ke paikar mein Dal de
Kaif Bhopali