thi ham-aghoshi magar kuchh bhi mujhe hasil na tha
wo ek aisa lams tha jis mein badan shamil na tha
ret ki daldal mili mujh ko samundar par bhi
main wahan utra jahan sahil kabhi sahil na tha
wo to ek sazish thi mere KHun ki mere KHilaf
jis ke sar ilzam aaya wo mera qatil na tha
hum ne kaTe peD to sayon ki yaad aane lagi
lekin ab harf-e-nadamat se bhi kuchh hasil na tha
sar pe aa girta hai takmil-e-mohabbat ka pahaD
warna izhaar-e-tamanna to koi mushkil na tha
par laga kar uD gae aaKHir meri nindon ke sath
pyar ke wo KHwab jin ka koi mustaqbil na tha
un se mil kar ye bhi dekhi shoabada-bazi 'qatil'
dhaDkanen maujud thin sine mein lekin dil na tha
Ghazal
Thi ham-aghoshi magar kuchh bhi mujhe hasil na tha
Qateel Shifai