thapak thapak ke jinhen hum sulate rahte hain
wo KHwab hum ko hamesha jagate rahte hain
umiden jagti rahti hain soti rahti hain
dariche shama jalate bujhate rahte hain
na jaane kis ka hamein intizar rahta hai
ki baam-o-dar ko hamesha sajate rahte hain
kisi ko DhunDte hain hum kisi ke paikar mein
kisi ka chehra kisi se milate rahte hain
wo naqsh-e-KHwab mukammal kabhi nahin hota
tamam umr jise hum banate rahte hain
usi ka aks har ek rang mein jhalakta hai
wo ek dard jise sab chhupate rahte hain
hamein KHabar hai kabhi lauT kar na aaenge
gae dinon ko magar hum bulate rahte hain
ye khel sirf tumhin khelte nahin 'alam'
sabhi KHala mein lakiren banate rahte hain
Ghazal
Thapak thapak ke jinhen hum sulate rahte hain
Alam Khursheed