thake huon ko jo manzil kaThin ziyaada hui
safar ka azm-e-musammam lagan ziyaada hui
udas peDon ne patton ki bhenT de di hai
KHizan mein raunaq-e-sahn-e-chaman ziyaada hui
zaban pe habs ki KHwahish machal machal uThi
hawa chali to gharon mein ghuTan ziyaada hui
safar ka marhala-e-saKHt hi ghanimat tha
Thahar gae to badan ki thakan ziyaada hui
kabhi to sard laga dopahar ka suraj bhi
kabhi badan ke liye ek karan ziyaada hui
urus-e-zist pe yun bhi nikhaar kya kam tha
lahu libas kiya to phaban ziyaada hui
talab ke honTon pe aasudgi ka lafz kahan?
talab wasila-e-dar-o-rasan ziyaada hui
'nasim' kis ko tha tahzib-e-fan ka dhyan yahan
hamare ahd mein tashhir-e-fan ziyaada hui
Ghazal
Thake huon ko jo manzil kaThin ziyaada hui
Naseem Sahar