thak gae tum hasrat-e-zauq-e-shahadat kam nahin
mujh se dam le lo agar tegh-e-sitam mein dam nahin
dardmandan-e-azal rakhte nahin darman ka gham
sina-e-sad-chaak gul minnat-kash-e-marham nahin
roz marte hain hazaron dekh kar nairang-e-husn
gar yahi aalam tumhaara hai to ye aalam nahin
mar miTe hum ishq ke shohre wahi hain chaar su
shor-e-ruswai pas-e-murdan bhi apna kam nahin
nala-e-atish-fishan yun hi agar hai auj par
tu nahin ai aasman-e-fitnagar ya hum nahin
be-sabaati par bahaar-e-bagh ki rota hai charKH
ru-e-gul par qatra-ha-e-ashk hain shabnam nahin
KHush hain mere marne se 'taslim' KHwesh o aqriba
KHana-e-shadi hai goya KHana-e-matam nahin
Ghazal
Thak gae tum hasrat-e-zauq-e-shahadat kam nahin
Amirullah Tasleem