Thahre bhi nahin hain kahin chalte bhi nahin hain
hum jism ki sarhad se nikalte bhi nahin hain
KHud se milenge soch ke ghar se hain nikalte
lekin kamal ye hai ki milte bhi nahin hain
palkon ke kinaron pe hain bechain se aansu
girte bhi nahin aur sambhalte bhi nahin hain
aankhon ki ye sazish hai ya nindon ki baghawat
bachchon ki tarah KHwab jo palte bhi nahin hain
ek rang hi is zist ko kafi hai 'sachin' bas
mausam ki tarah rang badalte bhi nahin hain

Ghazal
Thahre bhi nahin hain kahin chalte bhi nahin hain
Sachin Shalini