thami hui hai kahkashan apne hath se
tamir kar raha hun makan apne hath se
aaya hun wo zamin o shajar DhunDta hua
khinchi thi ek lakir jahan apne hath se
husn-e-bahaar mujh ko mukammal nahin laga
main ne tarash li hai KHizan apne hath se
aaine ka huzur samundar laga mujhe
kaTa hai main ne sail-e-giran apne hath se
'sarwat' hadaf bahut hain jawanan-e-shahr mein
rakkho abhi na tir o kaman apne hath se

Ghazal
Thami hui hai kahkashan apne hath se
Sarvat Husain