اردو हिंदी
Tez hawao ab Darna ghabrana kaisa | Shaahi Shayari
tez hawao ab Darna ghabrana kaisa

Ghazal

Tez hawao ab Darna ghabrana kaisa

Gulzar Vafa Chaudari

;

tez hawao ab Darna ghabrana kaisa
chalna hi Thahra to shor machana kaisa

aangan aangan mein virani nach rahi hai
saz uThana kaisa naghma gana kaisa

sham Dhale se aasebon ka Danka baje
puran-mashi mein bhi bahar aana kaisa

ai sayyaho ye to daldal ki wadi hai
is mein utre ho to jaan bachana kaisa

sare mausam ek tasalsul mein shamil hain
tera aana kaisa tera jaana kaisa

un ki KHatir hum ko suraj hansna hoga
yaKH shahron ko aahon se pighlana kaisa