teri taswir ko taskin-e-jigar samjhe hain
tere didar ko hum zauq-e-nazar samjhe hain
qahr ki aankhon se tum ne hamein jab bhi dekha
hum ise ain mohabbat ki nazar samjhe hain
hai yahi un ka samajhna to KHuda hafiz hai
talib-e-KHair ko wo bani-e-shar samjhe hain
un ki manind koi sahab-e-idrak kahan
jo farishte nahin samjhe wo bashar samjhe hain
apni aankhon mein jagah dete hain mujh ko 'sabir'
mere ahbab mujhe kohl-e-basar samjhe hain
Ghazal
Teri taswir ko taskin-e-jigar samjhe hain
Fazal Husain Sabir