teri daulat rah jaegi tere ghar chaubaron tak
mere akhshar sair karenge suraj chand sitaron tak
baat kafan ki nikli thi par raste mein nilam hui
rang-birangi chunari ho gai jab pahunchi aKHbaron tak
jis ko jaisa rog diya hai us ka waisa chaara-gar
bimaron tak wed-ji pahunche shaer ishq ke maron tak
mai-KHane mein aur to kya tha ham-zaKHmon ki mahfil thi
bechaaron se shurua hui thi KHatm hui bechaaron tak
jamhuri tahzib yahi hai sabki apni had-bandi
janta ki had ek mohar tak netaon ki naron tak

Ghazal
Teri daulat rah jaegi tere ghar chaubaron tak
Prabudha Saurabh