اردو हिंदी
Tere sae se pare rah ke jiya kaise karen | Shaahi Shayari
tere sae se pare rah ke jiya kaise karen

Ghazal

Tere sae se pare rah ke jiya kaise karen

Kavita Kiran

;

tere sae se pare rah ke jiya kaise karen
fasle tai bhi karen hum to bata kaise karen

rog is dil ko laga hai teri KHatir warna
tu nahin hai to bata dil ki dawa kaise karen

do ghaDi bhar ke liye bhi na raha sath tera
bin tere shahr mein hum pas-e-wafa kaise karen

ranj-o-gham ki wo rawani na rahi dil mein mere
dil dukhega to bata dil se dua kaise karen

aap ki duniya alag aur alag apna jahan
raste jab na hon manzil pe mila kaise karen

bewafai ka chalan aam hai duniya mein 'kiran'
zindagi bhar ke liye zaKHm saha kaise karen