tere liye ijad hua tha lafz jo hai ranai ka
sar se le kar naKHun-e-pa tak aalam hai zebai ka
dil ki virani ne itna zauq-e-samaat badla hai
gham ki lai mein Dhal jata hai naghma KHud shahnai ka
chaaron taraf sailab-e-adam phir bhi akela hun jaise
dhire dhire kha jaega zahr mujhe tanhai ka
husn ke kashana mein aa kar sar ko jhukana paDta hai
ishq ka banda ho kar tujh ko zauq hai kyun darai ka
mehnat sab se baDi ibaadat mehnat-kash meamar-e-qaum
ahd-e-nau aaghaz hua hai KHatm hai daur shahi ka
ranj-o-KHushi 'sartaj' baham hain ye duniya ki mahfil hai
gham ki tanen kahin pe jagen shor kahin shahnai ka

Ghazal
Tere liye ijad hua tha lafz jo hai ranai ka
Sartaj Alam Abidi