tere ghar KHwab mein gaya tha ghair
apni aankhon se hum ne dekha hai
kis qadar hai mizaj mein garmi
shoala hai aag hai bhabhuka hai
ai buto kabe ka karo kuchh pas
dil na toDo ye ghar KHuda ka hai
chup raho kyun mizaj puchhte ho
hum jien ya maren tumhein kya hai
us gul-e-tar ke aane se 'jauhar'
KHana-e-dil tamam mahka hai
Ghazal
Tere ghar KHwab mein gaya tha ghair
Lala Madhav Ram Jauhar