اردو हिंदी
Tere dar se na uTha hun na uThunga ai dost | Shaahi Shayari
tere dar se na uTha hun na uThunga ai dost

Ghazal

Tere dar se na uTha hun na uThunga ai dost

Fana bulandshahri

;

tere dar se na uTha hun na uThunga ai dost
zindagi tere bina KHwab hai afsana hai

muddaa is ke alawa nahin kuchh aur mera
tera diwana hun dar pe tere miT jaana hai

ai 'fana' kahte hain mearaj-e-ibaadat us ko
mere har sajde ka hasil dar-e-jaanana hai