اردو हिंदी
Tere aafat-zada jin dashton mein aD jate hain | Shaahi Shayari
tere aafat-zada jin dashton mein aD jate hain

Ghazal

Tere aafat-zada jin dashton mein aD jate hain

Sheikh Ibrahim Zauq

;

tere aafat-zada jin dashton mein aD jate hain
sabr o taqat ke wahan panw ukhaD jate hain

itne bigDe hain wo mujh se ki agar nam un ke
KHat bhi likhta hun to sab harf bigaD jate hain

kyun na laDawaen unhen ghair ki karte hain yahi
ham-nashin jin ke nasibe kahin laD jate hain