tera KHulus-e-dil to mahall-e-nazar nahin
par kuchh to hai jo teri zaban mein asar nahin
ab wo nahin hai jalwa-e-sham-o-sahar ka rang
tera jamal shamil-e-husn-e-nazar nahin
hai markaz-e-nigah abhi tak wo aastan
ye aur baat hai ki majal-e-safar nahin
uD bhi chalen to ab wo bahaar-e-chaman kahan
han han nahin mujhe hawas-e-baal-o-par nahin
tark-e-talluqat KHud apna qusur tha
ab kya gila ki un ko hamari KHabar nahin
chup chap sah rahe hain ki apnon ka jaur hai
ab KHub jaante hain fughan kargar nahin
kuchh hai to apni zud-yaqini se hai gila
tujh se to ab kalam bhi ai chaaragar nahin
Ghazal
Tera KHulus-e-dil to mahall-e-nazar nahin
Gopal Mittal