tera KHayal bhi hai waz-e-gham ka pas bhi hai
magar ye baat ki duniya nazar-shanas bhi hai
bahaar-e-subh-e-azal phir gai nigahon mein
wahi faza tere kuche ke aas pas bhi hai
jo ho sake to chale aao aaj meri taraf
mile bhi der hui aur ji udas bhi hai
KHulus niyyat-e-rahrau pe munhasir hai 'azim'
maqam-e-ishq bahut dur bhi hai pas bhi hai
Ghazal
Tera KHayal bhi hai waz-e-gham ka pas bhi hai
Azeem Murtaza