اردو हिंदी
Tera hi main gada hun mera tu shah bas hai | Shaahi Shayari
tera hi main gada hun mera tu shah bas hai

Ghazal

Tera hi main gada hun mera tu shah bas hai

Abdul Wahab yakro

;

tera hi main gada hun mera tu shah bas hai
mujh shab ki raushni kun tujh ruKH ka mah bas hai

surma se gard-e-mizhgan saf bandh ke biThi hain
shah-e-nayan kun teri yu qibla-gah bas hai

dil ki shikastagi sun paya hun baadshahi
karne kun sarwari ke aisi kulah bas hai

mahshar ke KHur ki tap sin kuchh Dar nahin haman kun
zulf-e-siyah ka saya dil ki panah bas hai

do ja nahin hai jag mein maujud juz KHuda ke
is baat ki shahadat ek la-ilah bas hai

'yakru' hua hai pani sun 'abru' ka misra
rakhne ko yusufan ke ek dil ki chah bas hai