tera gham teri aarzu kab tak
mujh se ruTha rahega tu kab tak
be-zarurat ye hao-hu kab tak
wo nahin hai to justuju kab tak
ta-ba-kai KHwahishon ki shoala-zani
ye hawas ki shadid lu kab tak
kuchh rawani ki intiha to ho
yani arzan rahe lahu kab tak
mausam-e-roz-o-shab tamam bhi ho
ye tilismat-e-rang-o-bu kab tak
phul baaton ke kuchh labon pe khila
aankhon aankhon mein guftugu kab tak
Ghazal
Tera gham teri aarzu kab tak
Sultan Akhtar

