tazkire fahm o KHirad ke to yahan hote hain
aql ki had se magar aage guman hote hain
chhoD jate hain kahin pas tere apna wajud
ghar pahunch kar bhi to hum ghar mein kahan hote hain
KHwab o ummid, guman, us ka tasawwur, chahat
talKHi-e-zist mein ye rahat-e-jaan hote hain
kis tarah arz-guzari se unhen roka hai
aise jazbe ki jo chhupte na ayan hote hain
ishq mein tarz-e-takallum ki riwayat hai ajab
kalma-e-KHas nigahon se bayan hote hain
KHwab jab jab hue zaKHmi to hue sher nae
warna ye moajaze har roz kahan hote hain
sirf pindar-e-KHirad hi to nahin shaghl-e-hayat
matam-e-ilm-o-amal bhi to yahan hote hain
saKHti-e-hashr se honge na kisi taur bhi kam
un ke ham-rah wo lamhe jo giran hote hain
aatish-e-dil hai ya phir sozish-e-jaan hai, kya hai?
ek ek kar ke sabhi KHwab dhuan hote hain
nasl-e-nau ke hain nae shughl, nai hi tahzib
bazm-e-imroz mein azkar-e-butan hote hain
akasr auqat tabahi ka sabab hun, lekin
kuchh hawadis bhi magar wajh-e-aman hote hain
umr bhar khul nahin pate hain rumuz-o-asrar
log kuchh samne rah kar bhi nihan hote hain
barha TuT ke bhi, hain kahin maujud abhi
walwale wo jo tere sath jawan hote hain
hum ko to mil na sake, tum ko mile honge kahin
wo jo har haal mein paband-e-zaban hote hain
kya kaha us ne, ye kya kah ke pukara 'KHalid'
aise kuchh jumle ada waqt-e-azan hote hain

Ghazal
Tazkire fahm o KHirad ke to yahan hote hain
Quaiser Khalid