tazkira un ka hi jo rang badal jate hain
baat sayon ki nahin sae to Dhal jate hain
aap zahmat na karen pursish-e-haal-e-dil ki
munh se naguftani jumle bhi nikal jate hain
itna KHush-fahm na ho ai dil-e-pazh-murda ki ab
wo shagufe jo na khil paen kuchal jate hain
kuchh diye KHun rag-e-jaan se hue hain raushan
kuchh diye tundi-e-sahba se bhi jal jate hain

Ghazal
Tazkira un ka hi jo rang badal jate hain
Saeeduzzamaan Abbasi