اردو हिंदी
Tazkira dil ka bar bar na kar | Shaahi Shayari
tazkira dil ka bar bar na kar

Ghazal

Tazkira dil ka bar bar na kar

Masood Maikash Muradabadi

;

tazkira dil ka bar bar na kar
husn ko husn-e-sharmsar na kar

lutf-e-nazzara-e-bahaar uTha
sharh ajza-e-barg-o-bar na kar

qad-o-gesu ko dad-e-ishrat de
fikr-e-adab-e-gir-o-dar na kar

baDh ke saghar uTha jo pina hai
izn-e-saqi ka intizar na kar

shauq ki raushni mein baDhta ja
kuchh KHayal-e-maal-e-kar na kar

din jo guzren baghair-e-shahid-o-jam
zindagi mein unhen shumar na kar

zer-e-diwar-e-mai-kada 'maikash'
KHauf-e-ashob-e-rozgar na kar