tawil-tar hai safar muKHtasar nahin hota
mohabbaton ka shajar be-samar nahin hota
phir us ke baad kai log mil ke bichhDe hain
kisi judai ka dil par asar nahin hota
har ek shaKHs ki apni hi ek manzil hai
koi kisi ka yahan ham-safar nahin hota
tamam umr guzar jati hai kabhi pal mein
kabhi to ek hi lamha basar nahin hota
ye aur baat hai wo apna haal-e-dil na kahe
koi bhi shaKHs yahan be-KHabar nahin hota
ajib log hain ye ahl-e-ishq bhi 'aKHtar'
ki dil to hota hai par in ka sar nahin hota
Ghazal
Tawil-tar hai safar muKHtasar nahin hota
Akhtar Amaan