taswir ka har rang nazar mein hai
kya baat tere dast-e-hunar mein hai
sona sa pighalta hai rag o pai mein
KHurshid-e-hawas kasa-e-sar mein hai
nikla hun to kya raKHt-e-safar bandhun
jo kuchh hai wo sab rahguzar mein hai
ek raat hai phaili hui sadiyon par
har lamha andheron ke asar mein hai
pani hai sarabon se wirasat mein
wo KHak jo daman-e-nazar mein hai
peshani-e-aina pe ho zahir
jo zaKHm dil-e-aina-gar mein hai
kya mahken tamannaon ke gul buTe
virani-e-sahra mere ghar mein hai
Ghazal
Taswir ka har rang nazar mein hai
Jamuna Parsad Rahi