tasawwur mein salam aate rahenge
mohabbat ke payam aate rahenge
kami mumkin nahin hai baam-o-dar ki
nazar mah-e-tamam aate rahenge
nigahon se milengi jab nigahen
to KHud gardish mein jam aate rahenge
kashish un mein agar hogi zara si
parinde zer-e-dam aate rahenge
shab-e-furqat shab-e-furqat na hogi
tasawwur kuchh to kaam aate rahenge
waqar-e-sher-o-fan baDhta rahega
agar kuchh KHush-kalam aate rahenge
'bajaj' un ko jo rokega zamana
wo KHwabon mein mudam aate rahenge

Ghazal
Tasawwur mein salam aate rahenge
Om Parkash Bajaj