اردو हिंदी
Tasawwur mein koi aaya sukun-e-qalb-o-jaan ho kar | Shaahi Shayari
tasawwur mein koi aaya sukun-e-qalb-o-jaan ho kar

Ghazal

Tasawwur mein koi aaya sukun-e-qalb-o-jaan ho kar

Faizi Nizam Puri

;

tasawwur mein koi aaya sukun-e-qalb-o-jaan ho kar
mohabbat muskuraati hai bahaar-e-jawedan ho kar

chaman mein jab kabhi jata hun un ki yaad aati hai
tamanna chuTkiyan leti hai pahlu mein jawan ho kar

dil-e-wahshat-asar ko hosh jab aaya to dekha hai
hawa ke dosh par uDta hai daman dhajjiyan ho kar

sanobar sa hai qad nargis si aankhen phul sa chehra
wo mere samne phirte hain aksar gulistan ho kar

sharab-o-sher-o-naghma ke siwa kya chahiye 'faizi'
bala se zindagi jae mata-e-raegan ho kar