tasawwur kar-farma tha ki lazzat thi kahani ki
isi taswir ne aankhon pe jaise hukmarani ki
meri parwaz ka manzar abhi tiron se chhalni hai
lahu mein tar-ba-tar hai dastan naql-e-makani ki
labon par barf jam jae to istifsar kya mani
ki shor-o-ghul faqat tamhid hai shola-bayani ki
qadam rakhte hi jaise khul gaya daldal mein darwaza
ajab karigari dekhi yahan miTTi mein pani ki
dikhai rah sahil ki unhen pur-pech maujon ne
usi tufan ne kashti ke haq mein baadbani ki
bahut zarKHez miTTi hai 'nizam' apne badan mein bhi
hawas ne phul mahkae lahu ne baghbani ki

Ghazal
Tasawwur kar-farma tha ki lazzat thi kahani ki
Nizamuddin Nizam