اردو हिंदी
Tark-e-mohabbat par bhi hogi un ko nadamat humse ziyaada | Shaahi Shayari
tark-e-mohabbat par bhi hogi un ko nadamat humse ziyaada

Ghazal

Tark-e-mohabbat par bhi hogi un ko nadamat humse ziyaada

Shamim Jaipuri

;

tark-e-mohabbat par bhi hogi un ko nadamat hum se ziyaada
kis ne ki hai kaun karega un se mohabbat hum se ziyaada

hum ne mana aap mein hogi sabr ki taqat hum se ziyaada
dekhiye lekin utri hui hai aap ki surat hum se ziyaada

uff wo tabassum halka halka hae wo bhigi bhigi palken
waqt-e-ruKHsat un pe garan tha lamha-e-ruKHsat hum se ziyaada

koi tamanna koi masarrat dil ke qarib aane hi na di
kis ne ki hai ishq mein yaro gham se mohabbat hum se ziyaada