tariq koi na aaya mujhe zamane ka
ki ek sauda raha jins-e-dil luTane ka
fareb-e-KHwab mere raste ko rok nahin
ki waqt-e-sham hai ye gham-kade ko jaane ka
tere wajud se pahchan mujh ko apni thi
tera yaqin tha mujh ko yaqin zamane ka
KHarab-e-ishq hun KHud maut hun main apne liye
sikha rahi hun hunar KHud ko dil jalane ka
har ek shaKH-e-sitam se main phul toDti hun
hua hai shauq chaman-zar-e-gham banane ka
nasha ajib hai is jang-e-be-samar ka mujhe
KHumar KHub hai KHun-e-KHirad bahane ka
shab-e-visal mein ek nuqta-e-tawaqquf hun
aur ek junun hai use manzilon ko pane ka
dil-e-tabah ko be-dam bech deti hun
ki karobar hai ye jins-e-gham kamane ka
mujhe aziz hai be-ehtiyati-e-sada
na shauq hai na hunar us ko aazmane ka
qafas badan ka mujhe kuchh mera subut nahin
ye tair-e-dil-o-jaan lauT kar na aane ka
Ghazal
Tariq koi na aaya mujhe zamane ka
Tanveer Anjum