tapish gulzar tak pahunchi lahu diwar tak aaya
charagh-e-KHud-kalami ka dhuan bazar tak aaya
hua kaghaz musawwar ek paigham-e-zabani se
suKHan taswir tak pahuncha hunar purkar tak aaya
abas tarik raste ko tah-e-KHurshid-e-jaan rakkha
yahi tar-e-nafas aazar se paikar tak aaya
mohabbat ka bhanwar apna shikayat ki jihat apni
wo mehwar dusra tha jo mere pindar tak aaya
ajab chehra safar ka tha hawas ke zard pani mein
qadam daldal se nikla to KHat-e-raftar tak aaya
phir is ke baad tambur o alam na-mo'tabar Thahre
koi qasid na is sham-e-shikast-asar tak aaya
Ghazal
Tapish gulzar tak pahunchi lahu diwar tak aaya
Akhtar Husain Jafri