tanhaiyon ke dard se rista hua lahu
diwar-o-dar udas hain har shai hai zard-ru
KHamoshiyon mein Dub gai zindagi ki sham
aawaz de ke jaane kahan chhup gaya hai tu
aankhon mein jagti hi rahi nind raat bhar
chalti rahi KHayal ke sahra mein garm lu
sahil pe Dubne lagi aab-e-rawan ki lau
barpa tha zard ret ka tufan chaar-su
wadi mein nilgun sa dhuan rengne laga
ghabra ke dam na toD de jhilon mein justuju
muddat ke baad lauT ke aaya jab apne ghar
ek aks aaine mein ye kahne laga ki tu

Ghazal
Tanhaiyon ke dard se rista hua lahu
Rasheed Afroz