اردو हिंदी
Tanhai se bachaw ki surat nahin karun | Shaahi Shayari
tanhai se bachaw ki surat nahin karun

Ghazal

Tanhai se bachaw ki surat nahin karun

Ahmad Kamal Parwazi

;

tanhai se bachaw ki surat nahin karun
mar jaun kya kisi se mohabbat nahin karun

su-e-falak hawai safar hai to kya hua
Dar jaun mahtab ki surat nahin karun

aankhen hain ya sharab ke saghar bhare hue
pi jaun kya KHayal-e-shariat nahin karun

qabze mein un ke shahr-e-tilismat hi sahi
kho jaun kya KHuda ki ibaadat nahin karun

jab tai hua ki raushni parwardigar hai
pahlu bachaun us ki itaat nahin karun

bazm-e-suKHan-taraaz mein nakaam hon to kya
chillaun apne fan ki hifazat nahin karun

wo aa gaya 'kamal' ki qimat ke aas-pas
bik jaun apne sach ki hifazat nahin karun