tan par us ke sim fida aur munh par mah diwana hai
sar se lai kar panw talak ek moti ka sa dana hai
naz naya andaz nirala chitwan aafat chaal ghazab
sina ubhra saf sitam aur chhab ka qahr yagana hai
banki saj-dhaj aan anuThi bholi surat shoKH-mizaj
nazron mein khul khel lagawaT aankhon mein sharmana hai
tan bhi kuchh gadraya hai aur qad bhi baDhta aata hai
kuchh kuchh husn to aaya hai aur kuchh kuchh aur bhi aana hai
jab aisa husn qayamat ho betab na ho dil kyunki 'nazir'
jaan par apni khelenge ek roz ye hum ne jaana hai

Ghazal
Tan par uske sim fida aur munh par mah diwana hai
Nazeer Akbarabadi