tamasha ahl-e-mohabbat ye chaar-su karte
dil-o-dimagh aur aankhen lahu lahu karte
wo raushni se bhari jhil ke kinare par
shikasta-ruh, darida-badan rafu karte
hamare bare mein taftish karna chahte the
to jaan-e-jaan parindon se guftugu karte
jamal-o-husn se labrez jab zamana hai
teri bisat hi kya teri aarzu karte
zamin pe chand sitare bichha ke ai 'hashim'
falak pe phul sajaane ki aarzu karte
Ghazal
Tamasha ahl-e-mohabbat ye chaar-su karte
Hashim Raza Jalalpuri