tamam umr mayassar bas ek KHana hawa
main apni zat ke sanduq mein purana hua
mahaz-e-waqt se agle paDaw ki jaanib
main ruk gaya to koi dusra rawana hua
nazar uTha ke phalon ki taraf nahin dekha
shajar se Tek lagae hue zamana hua
ye kaenat bhi qad ki munasibat se thi
ki ek parind ko pata bhi shamiyana hua
'nasim' is se baDa ranj aur kya hoga
wo mujh se puchh raha hai ki kaise aana hua

Ghazal
Tamam umr mayassar bas ek KHana hawa
Naseem Abbasi