tamam umr-e-rawan ka mal hairat hai
jawab jis ka nahin wo sawal hairat hai
dukan-e-chashm yahan be-misal hairat hai
is aaine ka sarasar kamal hairat hai
ye zindagi to tere sath sath KHatm hui
jo mujh mein baqi hai wo la-zawal hairat hai
wo KHwab aise the tabir in ki thi hi nahin
ramida hijr gurezan visal hairat hai
hui tilism-zada jab ye aaine ne kaha
yahan to sare ka sara jamal hairat hai
adam wajud adam uf ye silsile kaise
main luT gai hun magar mala-mal hairat hai
ye kaenat hai hairan apne hone pe
qadam qadam pe yahan mahw-e-haal hairat hai
Ghazal
Tamam umr-e-rawan ka mal hairat hai
Tasneem Abidi