tamam-duniya ka laKHt-e-jigar bana hua tha
wo aadmi jo mera dard-e-sar bana hua tha
use talash rahi hain meri udas aankhen
jo KHwab raat ke pichhle pahar bana hua tha
pahunch ke kucha-e-jaanan mein aa gaya bahar
mere wajud ke andar jo Dar bana hua tha
kamal-e-ishq ne mere kiya hai zer use
kisi ka husn jo kal tak zabar bana hua tha
utarti kaise sukun ki wahan koi chiDiya
mahal jo hirs ki buniyaad par bana hua tha
bana diya use insan teri qurbat ne
tere firaq mein jo jaanwar bana hua tha
ye us ka shauq nahin us ki inkisari thi
wasia ho ke bhi jo muKHtasar bana hua tha
pahunch gaya hai jawani se ab buDhape tak
wo ek dukh jo sharik-e-safar bana hua tha
hawas ke chaak ki miTTi jawan thi jab tak
tamam-shahr yahan kuza-gar bana hua tha
wo jaanta tha mere an-kahe dukhon ka ilaj
magar wo 'faiz'-miyan be-KHabar bana hua tha

Ghazal
Tamam-duniya ka laKHt-e-jigar bana hua tha
Faiz Khalilabadi