talKHi-kash-e-naumidi-e-didar bahut hain
us nargis-e-bimar ke bimar bahut hain
aalam pe hai chhaya hua ek yas ka aalam
yani ki tamanna ke giraftar bahut hain
ek wasl ki tadbir hai ek hijr mein jina
jo kaam ki karne hain wo dushwar bahut hain
wo tera KHaridar-e-qadim aaj kahan hai
ye sach hai ki ab tere KHaridar bahut hain
mehnat ho musibat ho sitam ho to maza hai
milna tera aasan hai talabgar bahut hain
ushshaq ki parwah nahin KHud tujh ko wagarna
ji tujh pe fida karne ko tayyar bahut hain
'wahshat' suKHan o lutf-e-suKHan aur hi shai hai
diwan mein yaron ke to ashaar bahut hain
Ghazal
TalKHi-kash-e-naumidi-e-didar bahut hain
Wahshat Raza Ali Kalkatvi