talKHi-e-mai mein zara talKHi-e-dil bhi gholen
aur kuchh der yahan baiTh ke pi len ro len
har taraf ek pur-asrar si KHamoshi hai
apne sae se koi baat karen kuchh bolen
koi to shaKHs ho ji-jaan se chahen jis ko
koi to jaan-e-tasawwur ho ki jis ke ho len
aah ye dil ki kasak hae ye aankhon ki jalan
nind aa jae agar aaj to hum bhi so len
Ghazal
TalKHi-e-mai mein zara talKHi-e-dil bhi gholen
Krishn Adeeb