talash jin ki hai wo din zarur aaenge
ye aur baat sahi hum na dekh paenge
yaqin to hai ki khulega na khul saka bhi agar
dar-e-bahaar pe dastak diye hi jaenge
ghunuda rahon ko tak tak ke sogwar na ho
tere qadam hi musafir inhen jagaenge
labon ki maut se bad-tar hai fikr-o-jazb ki maut
kidhar hain wo jo unhen maut se bachaenge
tawil raat bhi aaKHir ko KHatm hoti hai
'sharif' hum na andheron se mat khaenge
Ghazal
Talash jin ki hai wo din zarur aaenge
Sharif kunjahi