taKHliq kise kahte hain hai azmat-e-fan kya
aawaz-faroshon ke liye sher-o-suKHan kya
phulon ki tijarat ka chalan aam hai ab bhi
luTti hi rahegi yunhi taqdis-e-chaman kya
mazlum ki chiKHon ko bhi sunta nahin koi
is shahr mein baste hain sabhi sang-badan kya
hum aa to gae ban ke ziya zulmat-e-shab mein
is ghor andhere mein magar ek kiran kya
waqt aane pe sar apna kaTa dete hain 'rahbar'
hum ko nahin malum ki hai hubb-e-watan kya

Ghazal
TaKHliq kise kahte hain hai azmat-e-fan kya
Rahber Jaunpuri