taghayyuraat ke aalam mein zindagani hai
shabab fani nazar fani husn fani hai
tamam aalam-e-hasti pe hukmarani hai
mera jahan hai jab tak meri jawani hai
main shad hun to zamane mein shadmani hai
sharab lao ki aalam tamam fani hai
tere KHayal se hai masti-e-nazar meri
teri nigah se main ne sharab chhani hai
tera jamal fasanon mein rang bharta hai
tere shabab se dilkash meri kahani hai
meri hayat mein jab tu nahin to kuchh bhi nahin
tere baghair bhi kya KHak-e-zindagani hai
dil-e-fasurda mein hoti hai zindagi paida
'nushur' jura-e-sahba bhi zindagani hai
Ghazal
Taghayyuraat ke aalam mein zindagani hai
Nushur Wahidi

