taDapti hain tamannaen kisi aaram se pahle
luTa hoga na yun koi dil-e-nakaam se pahle
ye aalam dekh kar tu ne bhi aankhen pher lin warna
koi gardish nahin thi gardish-e-ayyam se pahle
gira hai TuT kar shayad meri taqdir ka tara
koi aawaz aai thi shikast-e-jam se pahle
koi kaise kare dil mein chhupe tufan ka andaza
sukut-e-marg chhaya hai kisi kohram se pahle
na jaane kyun hamein is dam tumhaari yaad aati hai
jab aankhon mein chamakte hain sitare sham se pahle
sunega jab zamana meri barbaadi ke afsane
tumhaara nam bhi aaega mere nam se pahle
Ghazal
TaDapti hain tamannaen kisi aaram se pahle
Qateel Shifai