tabsira yun na mere haal pe itna hota
us ko nazdik se duniya ne jo dekha hota
koi marte hue lamhon ka masiha hota
karb tanhai ka ehsas na itna hota
ye jo aahaT ki tarah sath mere rahta hai
ban ke taswir kabhi samne aaya hota
de gaya jo mujhe tapte hue lamhon ka gudaz
kash wo dard mere waste tanha hota
main ki jaisa hun ba-har-haal nazar mein aata
mujh ko ehsas ki nazron se to dekha hota
aisa lagta hai dobara na milega mujh se
is tarah TuT ke wo yaad na aaya hota
kya mila jag ke batlaiye 'shabnam'-sahab
is se achchha tha koi KHwab hi dekha hota

Ghazal
Tabsira yun na mere haal pe itna hota
Shabnam Naqvi