اردو हिंदी
Tabib dekh ke mujhko dawa na kuchh bola | Shaahi Shayari
tabib dekh ke mujhko dawa na kuchh bola

Ghazal

Tabib dekh ke mujhko dawa na kuchh bola

Raza Azimabadi

;

tabib dekh ke mujh ko dawa na kuchh bola
KHuda ko saunp do is ke siwa na kuchh bola

raqib jast mera us ke aage karta hai
suno to yaro koi aashna na kuchh bola

main jis se puchha nishan us pari ki manzil ka
wo mere munh ke tain tak raha na kuchh bola

main arz ki nahin tum mujh se bolte ho kyun
wo itna kahte hi sun ho gaya na kuchh bola